Tuesday 29 April 2014

Jaane Kab!







Jaane kab tu chod gaya or yeh mann b badal gaya
par kispar yakeen  karu
Jaana na yeh ab tak
Jab tak tha tu sath
Zindagi ko jaana tha sirf tab tak.


Kahin aansu baha na de tuje iss nazar se
Darr lagta hai ab rone se bhi
Ye kaisa mod aagaya hai
Nai paa sakti tuje ab, Khudko khone se bhi.


Intezar ki sidhi chad kr
Ek ek kadam utarna kabul hai
par tujse pyaar krne ki zidd
Mere liye sabse maqbool hai.

No comments:

Post a Comment